diwaren khaDi hui hain lekin
andar se makan gir raha hai
Farigh Bukhari
do dariya bhi jab aapas mein milte hain
donon apni apni pyas bujhate hain
Farigh Bukhari
hum ek fikr ke paikar hain ek KHayal ke phul
tera wajud nahin hai to mera saya nahin
Farigh Bukhari
hum se insan ki KHajalat nahin dekhi jati
kam-sawadon ka bharam hum ne rawa rakkha hai
Farigh Bukhari
hazar tark-e-wafa ka KHayal ho lekin
jo ru-ba-ru hon to baDh kar gale laga lena
Farigh Bukhari
jalte mausam mein koi farigh nazar aata nahin
Dubta jata hai har ek peD apni chhanw mein
Farigh Bukhari
jitne the tere mahke hue aanchalon ke rang
sab titliyon ne aur dhanak ne uDa liye
Farigh Bukhari
kitne shikwe gile hain pahle hi
rah mein fasle hain pahle hi
Farigh Bukhari
kya zamana hai ye kya log hain kya duniya hai
jaisa chahe koi waisa nahin rahne dete
Farigh Bukhari