اردو हिंदी
Yahi hai daur-e-gham-e-ashiqi to kya hoga | Shaahi Shayari
yahi hai daur-e-gham-e-ashiqi to kya hoga

Ghazal

Yahi hai daur-e-gham-e-ashiqi to kya hoga

Farigh Bukhari

;

yahi hai daur-e-gham-e-ashiqi to kya hoga
isi tarah se kaTi zindagi to kya hoga

abhi to ham-nafason ko hai wahm-e-chaaragari
hui na dard mein phir bhi kami to kya hoga

ye tirgi to bahar-e-haal chhaT hi jaegi
na ras aai hamein raushni to kya hoga

umid hai ki kabhi to labon pe aaegi
kabhi na aai labon par hansi to kya hoga

nafas nafas mein fughan hai nazar nazar mein hiras
kuchh aur din yahi haalat rahi to kya hoga