اردو हिंदी
Hamein saliqa na aaya jahan mein jine ka | Shaahi Shayari
hamein saliqa na aaya jahan mein jine ka

Ghazal

Hamein saliqa na aaya jahan mein jine ka

Farigh Bukhari

;

hamein saliqa na aaya jahan mein jine ka
kabhi kiya na koi kaam bhi qarine ka

tumhaare sath hi us ko bhi Dub jaana hai
ye jaanta hai musafir tere safine ka

kuchh us ka sath nibhana muhaal tha yun bhi
hamara apna tha andaz ek jine ka

saKHawaton ne gohar-saz kar diya hai unhen
koi sadaf nahin mohtaj aabgine ka