shikwa kiya zamane ka to us ne ye kaha
jis haal mein ho zinda raho aur KHush raho
Anwar Sadeed
khuli zaban to zarf un ka ho gaya zahir
hazar bhed chhupa rakkhe the KHamoshi mein
Anwar Sadeed
koi bhi pechidgi hael nahin anwar-'sadid'
zindagi hai samne manzar-ba-manzar aur main
Anwar Sadeed
pankh hila kar sham gai hai is aangan se
ab utregi raat anokhi yaadon wali
Anwar Sadeed
sail-e-zaman mein Dub gae mashhur-e-zamana log
waqt ke munsif ne kab rakkha qaem un ka nam
Anwar Sadeed
us ke baghair zindagi kitni fuzul hai
taswir us ki dil se juda kar ke dekhte
Anwar Sadeed
zamin ka rizq hun lekin nazar falak par hai
kaho falak se mere raste se haT jae
Anwar Sadeed
yun tasalli ko to ek yaad bhi kafi thi magar
dil ko taskin tere lauT ke aane se mili
Anwar Sadeed
KHak hun lekin sarapa nur hai mera wajud
is zamin par chand suraj ka numainda hun main
Anwar Sadeed

