ek jahan-e-la-yani gharqab hua
ek jahan-e-mani ki tashkil hui
Amir Hamza Saqib
KHabar bhi hai tujhe is daftar-e-mohabbat ko
jalane jalne mein kya kya zamane lagte hain
Amir Hamza Saqib
lahu jigar ka hua sarf-e-rang-e-dast-e-hina
jo sauda sar mein tha sahra khangalne mein gaya
Amir Hamza Saqib
makan ujaD tha aur la-makan ki KHwahish thi
so apne aap se bahar qayam kar liya hai
Amir Hamza Saqib
meri barhana pusht thi koDon se sabz o surKH
gore badan pe us ke bhi nila nishan tha
Amir Hamza Saqib
meri duniya isi duniya mein kahin rahti hai
warna ye duniya kahan husn-e-talab thi mera
Amir Hamza Saqib
phir badan mein thakan ki gard liye
phir lab-e-ju-e-bar hain hum log
Amir Hamza Saqib
aushan alao hote hi aaya tarang mein
wo qissa-go KHud apne mein ek dastan tha
Amir Hamza Saqib
tah kar chuke bisat-e-gham-o-fikr-e-rozgar
tab KHanqah-e-ishq-o-mohabbat mein aae hain
Amir Hamza Saqib