ata usi ki hai ye shahd o shor ki taufiq
wahi galim mein ye nan-e-be-jawin laya
Afzal Ahmad Syed
is dil ko kisi dast-e-ada-sanj mein rakhna
mumkin hai ye mizan-e-kam-o-besh jala de
Afzal Ahmad Syed
Kaman-e-KHana-e-aflak ke muqabil bhi
main us se aur wo phir kaj-kulah mujh se hua
Afzal Ahmad Syed
kaman-e-shaKH se gul kis hadaf ko jate hain
nasheb-e-KHak mein ja kar mujhe KHayal aaya
Afzal Ahmad Syed
kitab-e-KHak paDhi zalzale ki raat us ne
shaguft-e-gul ke zamane mein wo yaqin laya
Afzal Ahmad Syed
kitab-e-umr se sab harf uD gae mere
ki mujh asir ko hona hai ham-kalam us ka
Afzal Ahmad Syed
main chahta hun mujhe mashalon ke sath jala
kushada-tar hai agar KHema-e-hawa tujh pe
Afzal Ahmad Syed
main dil ko us ki taghaful-sara se le aaya
aur apne KHana-e-wahshat mein zer-e-dam rakha
Afzal Ahmad Syed
use ajab tha ghurur-e-shaguft-e-ruKHsari
bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kaha us ne
Afzal Ahmad Syed