hua hai qata mera dast-e-mojaza tujh pe
giyah-e-zard bahut hai ye saneha tujh pe
main chahta hun mujhe mashalon ke sath jala
kushada-tar hai agar KHema-e-hawa tujh pe
main apne kushta charaghon ka pul bana deta
kisi bhi sham meri nahr-e-pesh-pa tujh pe
ye koi kam hai ki ai reg-e-shisha-e-saat
uga raha hun main ek naKHl-e-aina tujh pe
ki ajnabi hun bahut saya-e-shajar ke liye
so reg-e-zard mein hota hun ru-numa tujh pe
pukarti hai mujhe KHak-e-KHisht-e-paiwasta
ye nasb hone ka hai KHatm silsila tujh pe
Ghazal
Hua hai qata mera dast-e-mojaza tujh pe
Afzal Ahmad Syed