na KHwab hi se jagaya na intizar kiya
hum is dafa bhi chale aae chum kar us ko
Abbas Tabish
aat ko jab yaad aae teri KHushbu-e-qaba
tere qisse chheDte hain raat ki rani se hum
Abbas Tabish
aat kamre mein na tha mere alawa koi
main ne is KHauf se KHanjar na sirhane rakkha
Abbas Tabish
phir is ke baad ye bazar-e-dil nahin lagna
KHarid lijiye sahib ghulam aaKHiri hai
Abbas Tabish
pas-e-ghubar bhi uDta ghubar apna tha
tere bahane hamein intizar apna tha
Abbas Tabish
pahle to hum chhan aae KHak sare shahr ki
tab kahin ja kar khula us ka makan hai samne
Abbas Tabish
nihaal-e-dard ye din tujh pe kyun utarta nahin
ye nil-kanTh kahin tujh se bad-guman hi na ho
Abbas Tabish
mera ranj-e-mustaqil bhi jaise kam sa ho gaya
main kisi ko yaad kar ke taza-dam sa ho gaya
Abbas Tabish
mere sine se zara kan laga kar dekho
sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai
Abbas Tabish