اردو हिंदी
Zulmat | Shaahi Shayari
zulmat

Nazm

Zulmat

Afroz Alam

;

jis tarah
kisi muflis ki

taqdir ka sitara
bahut dur kahin

tarik rahon mein
bhaTak kar

dam toD raha ho
sham hote hi

is dayar ka chappa chappa
ghup andheron mein

Dub jata hai
aise mein

samaat se sargoshiyan
karte hue sannaTe

andheron ko koste hue lamhat
dur se aati hui kisi bebas ki

pukar
jab ehsas se Takraati hai

to thartharaate hue
wajud

mahw-e-dua hote hain
KHaliq ko sada dete hain