raat sannaTe ki chadar mein paDi hai lipTi
pattiyan saDkon ki sab jag rahi hain jaise
dekhna chahti hain shahr mein kya hota hai
main hamesha ki tarah honTon mein cigarette ko dabae
sone se pahle KHayalat mein khoya hua hun
din mein kya kuchh kiya ek jaeza leta hai zamir
ek sada sa waraq nama-e-amal hai sab
kuchh nahin likkha ba-juz is ke pise jao yunhi
kuchh nahin likha bas ek itna ki insan ka nasib
gili gundhi hui miTTi ka hai ek toda sa
din mein sau shaklen bana karti hain is miTTi se
kuchh nahin likha bas ek itna ki chyunTi dil hai
jauq-dar-jauq jo insan nazar aate hain
dana le kar kisi diwar pe chaDhna girna
aur phir chaDhna chaDhe jaana yunhi sham o sahar
kuchh nahin likkha bas itna ki pise jao yunhi
aur andoh tassuf KHushi aalam nashat
KHud ko sau namon se bahlate raho chalte raho
sans ruk jae jahan samjho wahin manzil hai
aur is dauD se thak jao to cigarette pi lo
Nazm
Zindagi ka waqfa
Akhtar-ul-Iman