aaj zindagi ki tariKH thi
aur wo us ke samne chiKH rahi thi
jis ne aaankhon par siyah paTTi bandh rakhi thi
ab main be-chehra kaise jiyun?
main ne to apna chehra kaT kaT kar
be-chehra naslon mein banT diya
meri kor-chashmi gawah hai
ki main ne apne sabhi manzar
be-manzar aaankhon ko de diye
meri tamam KHwahishen nai nasl ne bech kar
apni aarzuen KHarid lin
hansne ke liye mere pas ab honT nahin hain
naslon ko dhup se bachate bachate
jab sar mein chandi ug aati hai
to naslon ke KHun mein safedi kyun dauDne lagti hai?
har taraf mere hi diye hue chehre ghum rahe hain
aur main apna chehra DhunD rahi hun
aaKHir be-chehra ho kar kaise jiya ja sakta hai?
magar us ki aaankhon par to paTTi bandhi thi
wo kaise be-chehra zindagi ko dekhta?
is ke hath se juDa taraazu kanpne laga
us ke pas nae chehre nahin the
aur us ne zindagi ko ek lambi peshi de di
Nazm
Zindagi chehra mangti hai
Muneer Ahmad Firdaus