raat baqi thi abhi jab sar-e-baalin aa kar
chand ne mujh se kaha 'jag sahar aai hai
jag is shab jo mai-e-KHwab tera hissa thi
jam ke lab se tah-e-jam utar aai hai'
aks-e-jaanan ko wida kar ke uThi meri nazar
shab ke Thahre hue pani ki siyah chadar par
ja-ba-ja raqs mein aane lage chandi ke bhanwar
chand ke hath se taron ke kanwal gir gir kar
Dubte tairte murjhate rahe khilte rahe
raat aur subh bahut der gale milte rahe
sehn-e-zindan mein rafiqon ke sunahre chehre
sath-e-zulmat se damakte hue ubhre kam kam
nind ki os ne un chehron se dho Dala tha
des ka dard firaq-e-ruKH-e-mahbub ka gham
dur naubat hui phirne lage be-zar qadam
zard faqon ke satae hue pahre wale
ahl-e-zindan ke ghazabnak KHaroshan nale
jin ki bahon mein phira karte hain bahen Dale
lazzat-e-KHwab se maKHmur hawaen jagin
jel ki zahr-bhari chur sadaen jagin
dur darwaza khula koi koi band hua
dur machli koi zanjir machal ke roi
dur utra kisi tale ke jigar mein KHanjar
sar paTakne laga rah rah ke daricha koi
goya phir KHwab se bedar hue dushman-e-jaan
sang-o-faulad se Dhaale hue jinat-e-giran
jin ke changul mein shab o roz hain fariyaad-kunan
mere bekar shab o roz ki nazuk pariyan
apne shahpur ki rah dekh rahi hain ye asir
jis ke tarkash mein hain ummid ke jalte hue tir
Nazm
Zindan ki ek subh
Faiz Ahmad Faiz