ret muTThi mein kabhi Thahri hai
pyas se us ko ilaqa kya hai
umr ka kitna baDa hissa ganwa baiTha main
jaante bujhte kirdar Darame ka bana
aur is rol ko sab kahte hain
hoshiyari se nibhaya main ne
hansne ke jitne maqam aae hansa
bas mujhe rone ki saat pe KHajil hona paDa
jaane kyun rone ke har lamhe ko
Tal deta hun kisi agli ghaDi par
dil mein KHauf o nafrat ko saja leta hun
mujh ko ye duniya bhali lagti hai
bhiD mein ajnabi lagne mein maza aata hai
aashna chehron ke badle hue tewar mujh ko
haal se mazi mein le jate hain
kuhniyan zaKHmi hain aur ghuTnon par
kuchh KHarashon ke nishan
sondhi miTTi ki mahak khinche liye jati hai
titliyan phul hawa chandni kankar patthar
sab mere sath mein hain
sans be-KHaufi se leta hun main
Nazm
Zinda rahne ka ye ehsas
Shahryar