pul ke niche jhank ke dekho aaj nadi tufani hai
biphri lahren jhag uDati hain kya zinda pani hai
aur bhanwar pul ke be-rang sutunon se Takraate hain
jin par bojh hai us pul ka wo shane TuTe jate hain
wo ek kubDa peD nadi par yun jhuk aaya hai jaise
ek kinara hath baDha kar dusre se milna chahe
dur ek meDak chiKH raha hai, KHatron se aazad hun main
is se baDh kar ghaarat-gar tufan nazar se guzre hain
ek pani ka sanp na jaane kab se us ki tak mein hai
wo bhi jaanta hai ye raaz ki milna aaKHir KHak mein hai
ek qamis chali aati hai jaane kahan se bahti hui
jis mein naKHun gaD diye hain ab ek aabi jhaDi ne
is ka malik bichhaD gaya hai ye bhi us ke pas chali
ek bahte darwaze par ek bhigi billi baiThi hai
jo aane wale lamhon ki babat sochti jati hai
sochte sochte us ki aankhen ho jaengi sehr-zada
aur us ke baalon ka resham pani mein mil jaega
lahar ki ek diwar giri aur bulbule dab kar TuT gae
jin ki phuTti aankhon se kuchh KHwab nikal kar bhag chale
ye KHwabon ke dekhne wale aaKHir kyun nahin sochte hain
sab afsane jhuTe hain, sab KHwab bikharne wale hain
is la-fani jhuT ke pichhe sach hai agar to itna hai
ye sab kuchh hota rahta hai pani bahta rahta hai
Nazm
Zinda pani sachcha
Saqi Faruqi