botal ke andar ka jin
nikle to us se puchhen
jine ka kya Dhang karen
kin sapnon se jang karen
kholo soda lao gilas
do aane ke siKH-kabab
cigarette bhi lete aana
park mein kya wo aai thi
aaj bhi kya sharmai thi
kaise kapDe pahne thi
kya andaz tha juDe ka
tum ne us se puchha tha
raat jo tum ne socha tha
'faiz' ki taza nazm paDhi
aur 'bedi' ka afsana
lup se kya hasil hoga
dariya kya sahil hoga
bhuk se janta marti hai
punjabi sube ke baad
chin nai dhamki dega
indara ji ke bhashan mein
panDit ji ki baat kahan
shastari urdu bolte the
jan-sanghi kyun sunte the
aaj kisi ki barsi thi
west-indies hi jitega
thoDa soda aur milao
kidhar lottery hai batlao
tum itne KHamosh ho kyun
nazm koi kah Dali kya
to phir kya hai ho jae
lekin shart tarannum hai
pankhe ki speed baDhao
kathmandu nepal mein hai
sartre ki biwi kaisi hai
hum bandar ke pote hain
meraTh se qainchi bhi lae
la-yani hain marg o zist
be-mani hain sab alfaz
be-his hai maKHluq-e-KHuda
har insan ek saya hai
shadi gham ek dhoka hai
dil aankhen lab hath dimagh
ek waba ki zad mein hain
apne zawal ki had mein hain
Nazm
Zawal ki had
Shahryar