dasht ki be-payan wusat mein
kohsaron ke daman mein
zarra
apne hone aur na hone ka dukh jhel raha tha
zarra jo KHud apne wajud mein
ek mukammal duniya hai
jis ke batn mein
sara nizam-e-shams-o-qamar poshida hai
jis ki wahdat ke sine mein
nazar na aane wali kasrat ka jalwa hai
ahl-e-nazar ne pichhli sadi mein
is pamal zamir ke andar
is be-nam wajud mein muzmar
us taqat ki gawahi di hai
jo is ke bedar KHamir mein
sadiyon tak KHwabida rahi hai
ahl-e-hunar ahl-e-hikmat ne
jab is KHufta quwwat ka idrak kiya
zarre ka dil chaak kiya
sadiyon ki sahmi hui
na-asuda mahrumi ko be-bak kiya
isi tawanai ki badaulat
isi haqir se be-tauqir se
KHakistar zarre ne
ek din
hiroshima ko KHak kiya
Nazm
Zarra
Sarshar Siddiqui