muhib ruhon ke qahqahon se
maasir-e-jaan laraz uThe hain
lahu ki raftar zahr-e-qatil ki dhaar ban kar
dil ki gahraiyon mein paiham utar rahi hai
haDDiyan aagahi ki bedar aag mein phir pighal rahi hain
hayat se be-KHabar fazaon mein
jism tahlil ho raha hai
shab-e-siyah ke Darawne faslon se laTki hui
shappra-chashm aarzuen ye chahti hain
ki tirgi ko main ruh apni faroKHt kar dun
aur us ujale ko bhul jaun
jo ab bhi mera masih-e-mauud-e-jism-o-jaan hai
muhib ruhon ke qahqahon ne
meri aawaz chhin li hai
main ghar ki diwar par nigahen jamae baiTha hun
jaise mere tamam alfaz ghar ki diwar mein nihan hain
muhib ruhon ke qahqahon mein
kuchh ajnabi ajnabi sadaen ubhar rahi hain
waqt ka chaak chal raha hai
zamin ki sans ukhaD rahi hai
main sochta hun
wo zard suraj na-jaane kab aaega
ki jis ka
kitab-e-sayyargan mein wada kiya gaya hai
kitab-e-sayyargan ke malik
main is andhere se thak gaya hun
Nazm
Zard suraj
Sahar Ansari