jab aag jali naf ke niche to zamin phail gai
aag jali aur badan phail gae
aankhon ki aawargi be-rang hui
dhup hawa chandni
sab bastiyon mein KHak uDi
qafile hi qafile the
qafile jo dard ke watanon se chale
chalte gae ajnabi KHushbu ki taraf
us ki taraf jis ke liye sari kitabon mein likha hai
wo kabhi hath nahin aati kabutaron se chaTati hai
magar raat ke darwaze pe pahunche to sitare na mile
log abhi subh ki ummid mein shab kaTte hain
log dukhi log akele hain
unhen rasta do sine se chimTa lo
har ek raste mein jalti hui aag bujha do ki badan
phailte jate hain zamin tang hui jati hai
jo aag bujhane ke liye aae the
sab KHak hue lauT nahin pae
hawa un ke liye dastaken deti hai
zamin un ke liye phul khilati hai
Nazm
Zamin un ke liye phul khilati hai
Abbas Athar