اردو हिंदी
Zalzala | Shaahi Shayari
zalzala

Nazm

Zalzala

Shakeel Badayuni

;

ek shab halki si jumbish mujhe mahsus hui
main ye samjha mere shanon ko hilata hai koi

aankh uThai to ye dekha ki zamin hilti hai
jis jagah shai koi rakkhi hai wahin hilti hai

sahn-o-diwar ki jumbish hai to dar hilte hain
bahar aaya to ye dekha ki shajar hilte hain

koi shai jumbish-e-paiham se nahin hai mahrum
ek taqat hai pas-e-parda magar na-malum

chand lamhe bhi ye nairangi-e-alam na rahi
zalzala KHatm hua jumbish-e-paiham na rahi

hairat-e-did se angusht-ba-dandan tha main
shahid-e-jalwa-e-qahhaari-e-yazdan tha main

dafatan ek sada aah-o-fughan ki aai
mere allah ye ghaDi kis pe musibat lai

gul kiya zalzala-e-qahr ne kis ghar ka charagh
kis pe Dhaya ye sitam kis ko diya hijr ka dagh

ja ke nazdik ye nazzara-e-hirman dekha
ek hasina ko ba-sad haal-e-pareshan dekha

baizawi shakl mein the husn ke jalwe pinhan
aankh mein sehr bhara tha magar aansu the rawan

main ne ghabra ke ye puchha ki ye haalat kyun hai
teri hasti hadaf-e-ranj-o-musibat kyun hai

boli ai shaer-e-rangin-tabiat mat puchh
roz-o-shab dil pe guzarti hai qayamat mat puchh

log duniya ko teri mujh ko zamin kahte hain
ahl-e-zar mujh ko mohabbat mein hasin kahte hain

main unhin husn-paraston ki hun taDpai hui
tujh se kahne ko ye raaz aai hun ghabrai hui

zar-paraston se hain bad-dil meri duniya ke gharib
hain giraftar-e-salasil meri duniya ke gharib

mujh se ye taza balaen nahin dekhi jati
zalimon ki ye jafaen nahin dekhi jatin

chahti hun mere ushshaq mein kuchh farq na ho
muft mein kashti-e-ehsas-e-wafa gharq na ho

ek wo jis ko mayassar hon imaraat-o-naqib
ek wo jis ko na ho phuns ka chhappar bhi nasib

sahab-e-daulat-o-zi-rutba-o-zardar ho ek
be-nawa gham-zada-o-bekas-o-lachaar ho ek

ek muKHtar ho, aurang-e-jahanbani ka
ek muraqqa ho gham-o-ranj-o-pareshani ka

saKHt nafrat hai mujhe apne parastaron se
chhin lete hain mujhe mere talab-garon se

chira-dasti ka miTa deti hain sab jah-o-jalal
haif-sad-haif ki hail hai gharibon ka KHayal

ye na hote to dikhati main qayamat ka saman
ye na hote to miTati main ghurur-e-insan

ek karwaT mein badal deti nizam-e-alam
ek ishaare hi mein ho jati hai ye mahfil barham

ek tabassum se jahan barq-ba-daman hota
na ye aaraishen hotin na ye saman hota

har ada puchhti sarmaya-paraston ke mizaj
kuchh to farmaiye hazrat ki hain kis haal mein aaj

lakh-pati sankh-pati be-sar-o-saman hote
jaan bach jae bas is baat ke KHwahan hote

barsar-e-KHak nazar aate hain qasr-o-aiwan
ashk-e-KHunin se mere aur bhi uThte tufan

meri aaghosh mein sab ahl-e-sitam aa jate
mere bartaw se bas nak mein dam aa jate

baz ke munh gham-e-alam se kale karti
baz ko maut ki dewi ke hawale karti

KHun-e-zardar hi mazdur ki mazduri hai
main jo KHamosh hun ye bais-e-majburi hai

meri aaghosh mein jabir bhi hain majbur bhi hain
mere daman hi se wabasta ye mazdur bhi hain

zabt karti hun jo gham aata hai sah jati hun
josh aata hai magar kanp ke rah jati hun