wo laDki kisi aur basti ki
rahne wali thi jo patthar pe
phul ugane ki KHwahish mein
ungliyan zaKHmi kar baiThi
suna hai us ki basti mein
phul aur mohabbat jiwan ka lazmi hissa the
wahan lafzon mein phul khilte the
aur aankhon se mohabbat ki kirnen
phuTti thin
jo koi us basti mein aata
chand achchhe lafzon ke badle
Dheron mohabbat le jata
ek din us basti mein ek jadu-gar aaya
aur us ne aisa mantar phunka ki sari basti patthar ho gai
laDki jo kahin bahar gai thi wapas aai to
us ki duniya badal chuki thi
us din se wo laDki
jahan kahin bhi patthar dekhti hai
unhen phul banane ki koshish mein
zaKHmi ho jati hai
Nazm
ZaKHmi ungliyon se ek nazm
Fatima Hasan