main insan hun
main ne ek nagin ko Dasa
us ko apna zahr diya
aisa zahr ki jis ka mantar koi nahin
us ki rag rag mein chingari
us ke lahu mein aag
mere zahr mein nasha bhi hai
aisa nasha jis ka koi KHumar nahin
wo nagin ab mast nashe mein jhumegi
bahak bahak kar har-su mujh ko DhunDegi
us ki zaban bahar ko nikli
us ke munh mein jhag
aaj hai logo puran-mashi
zaKHmi nagin zahr ugalti
insanon ko Das ke un ke KHun mein apna zahr bharegi
aisa zahr ki jis ka mantar koi nahin
un ki rag rag mein chingari
un ke lahu mein aag
us ki zaban bahar ko nikli
us ke munh mein jhag
mujh ko Das kar mere KHun ko wapas mera zahr karegi
meri rag rag mein chingari
mere lahu mein aag
Nazm
Zahr ka safar
Sajjad Baqar Rizvi