mujhe to be-sukun sa kar gaya us shoKH ka kahna
haqiqat ke taraazu mein kabhi taula hai jazbon ko
mohabbat ke taqaddus ka bharam rakkha kabhi tu ne
kabhi be-saKHta lipTa hai mahrum-e-sabahat se
kabhi haal-e-kaji puchha hai mashur-e-qabahat se
kabhi dasht-e-junun paTa hai jazbaat-e-iradat se
kabhi sarsar se talKHi ka sabab puchha matanat se
kabhi tarjih di KHak-e-chaman par reg-e-sahra ko
gul-o-bulbul se haT kar bhi kabhi dekha hai fitrat ko
gul-o-bulbul baja lekin chaman mein KHar bhi to hai
sabahat waqf-e-gulshan hi nahin kohsar bhi to hain
kai poshida az fikr-o-nazar shahkar bhi to hain
ghalat hain nasiya-farsaiyan teri talab teri
teri rahen juda hain ahl-e-dil se ahl-e-hasrat se
tera husn-e-nazar mahdud hai zati maqasid tak
teri ye shapra-chashmi hi tujhe barbaad kar degi
Nazm
Zawiye
Mohammad Tanviruzzaman