zindagi tu mujhe kis moD pe le aai hai
KHwab khulte the jahan barf wahan chhai hai
sau dariche hain magar shama kisi par bhi nahin
chand nikle meri raaton ka muqaddar bhi nahin
kya karun kya na karun hath mein patthar bhi nahin
shish-mahlon ko koi gham bhi nahin Dar bhi nahin
log gunge hain bayaban mein azan kaise ho
log qatil hain ilaj-e-gham-e-jaan kaise ho
log patthar hain to ehsas-e-ziyan kaise ho
kis ko fursat hai jo puchhe ki miyan kaise ho
raat jab KHatm hui thi to sahar lagti thi
raushni rahguzar rahguzar lagti thi
zindagi kucha-e-jaanan ka safar lagti thi
apni manzil kahin jannat ke udhar lagti thi
kuchh bhi aankhon mein nahin ashk-e-nadamat ke siwa
kuchh bhi daman mein nahin dagh-e-malamat ke siwa
kuchh bhi chehre pe nahin gard-e-masafat ke siwa
apni dukan mein sab kuchh hai mohabbat ke siwa
Nazm
Ye wo basti hi nahin
Qaisar-ul-Jafri