اردو हिंदी
Ye khel kya hai | Shaahi Shayari
ye khel kya hai

Nazm

Ye khel kya hai

Javed Akhtar

;

mere muKHalif ne chaal chal di hai
aur ab

meri chaal ke intizar mein hai
magar main kab se

safed-KHanon
siyah-KHanon mein rakkhe

kale safed mohron ko dekhta hun
main sochta hun

ye mohre kya hain
agar main samjhun

ke ye jo mohre hain
sirf lakDi ke hain khilaune

to jitna kya hai haarna kya
na ye zaruri

na wo aham hai
agar KHushi hai na jitne ki

na haarne ka hi koi gham hai
to khel kya hai

main sochta hun
jo khelna hai

to apne dil mein yaqin kar lun
ye mohre sach-much ke baadshah o wazir

sach-much ke hain payaade
aur in ke aage hai

dushmanon ki wo fauj
rakhti hai jo ki mujh ko tabah karne ke

sare mansube
sab irade

magar aisa jo man bhi lun
to sochta hun

ye khel kab hai
ye jang hai jis ko jitna hai

ye jang hai jis mein sab hai jaez
koi ye kahta hai jaise mujh se

ye jang bhi hai
ye khel bhi hai

ye jang hai par khilaDiyon ki
ye khel hai jang ki tarah ka

main sochta hun
jo khel hai

is mein is tarah ka usul kyun hai
ki koi mohara rahe ki jae

magar jo hai baadshah
us par kabhi koi aanch bhi na aae

wazir hi ko hai bas ijazat
ki jis taraf bhi wo chahe jae

main sochta hun
jo khel hai

is mein is tarah usul kyun hai
piyaada jo apne ghar se nikle

palaT ke wapas na jaane pae
main sochta hun

agar yahi hai usul
to phir usul kya hai

agar yahi hai ye khel
to phir ye khel kya hai

main in sawalon se jaane kab se ulajh raha hun
mere muKHalif ne chaal chal di hai

aur ab meri chaal ke intizar mein hai