اردو हिंदी
Ye Khaal-o-KHad mere apne | Shaahi Shayari
ye Khaal-o-KHad mere apne

Nazm

Ye Khaal-o-KHad mere apne

Zehra Nigaah

;

har ek jism mera hai, har ek jaan meri
ye KHal-o-KHad mere apne, ye aan-ban meri

sitam to ye hai ki mazlum main hun zalim main
har ek zaKHm mujhi se hisab mangega

har ek dagh meri aastin se jhankega
hazar-ha meri peshaniyon ke chand bujhe

hazar-ha mere lab ham-kanar-e-zahr hue
hazar-ha mere jismon ki Daliyan TuTin

hazar-ha meri aankhon ki mishalen Dubin
jahan pe aag lagi hai, wahan khilaune the

jahan pe KHak uDi hai, wahan pe jhule the
jahan pe sard hain sine wahan pe chaukhaT thi

jahan pe band hain aankhen wahan dariche the
main is dhuen mein kahan apni lash ko DhunDun

main is hujum mein kaise shumar-e-zaKHm karun
sitam to ye hai ki mazlum main hun, zalim main

har ek zaKHm mujhi se hisab mangega!
har ek dagh meri aastin se jhankega