ye kaisi jang hai jo apni manfat ke liye
gharib mulkon ki aazadiyon ko chhinti hai
ye kaisi jang hai jis mein muqable ke baghair
nishana sadh ke goli chalai jati hai
ye kaisi jang hai jis mein asir logon par
aziyyaton ke liye kutte chhoDe jate hain
ye kaisi jang hai jis mein bamon ki yurish se
samaaten bhi KHuda ki panah chahti hain
ye kaisi jang hai shahron ki tang galiyan bhi
bhaDakte shoalon se raushan dikhai deti hain
ye kaisi jang hai jis mein wafa-paraston ki
halakaton ki KHabar bhi uDai jati hai
chalo ye puchhen tabahi ke kasht-karon se
ba-nam-e-amn kahan tak lahu bahaoge
nikal ke dekho kabhi atomi hisaron se
tamam aalam-e-insaniyat hai sharminda
ye socho KHun ke saudagaro zara socho
lahu ki nadiyan bahengi agar zaminon par
tumhaari kasht ke pur-haul manzaron ko liye
tumhaare mulkon ke shahron ko bhi Dubo denge
har ek zulm tumhein apna yaad aaega
panah DhunDoge tum raat ke andheron mein
magar wo raat bhi shoalon mein Dub jaegi
ye waqt tum pe qayamat se kam nahin hoga
tumhaare karb ka hum ko bhi gham nahin hoga

Nazm
Ye kaisi jang hai
Shariq Adeel