ye hum kaun hain
waqt ki shah-rahon pe nange qadam
tez tez dhup mein
be-rida be-aman
raste mein koi mil patthar nahin
aur hawa-e-masafat guzarte hue
ruk ke kahti hai ye
koi manzil tumhaara muqaddar nahin
ye hum kaun hain
be-yaqini ke sahil pe tanha khaDe
aankh ki kashtiyan
paniyon ke safar par rawana huin
dur tak
nilgun
sabz pani ka girdab hai
wapsi ka tasawwur bhi ab KHwab hai
KHwab hai
ye hum kaun hain
nind mein jagte
KHwab mein bhagte
KHema-e-jaan ko apne hi hathon mein thame hue
jin ke kachche gharondon ko
be-waqt ki barishen kha gain
sab sitam Dah gain
ye hum kaun hain
sajda-gah-e-mohabbat mein jin ki jabin
sang-e-dar ho gai
mo'atabar ho gai
aur honTon pe harf-e-dua tak nahin
iltija tak nahin
aasmanon ki khiDki khuli hai magar
KHaliq-e-shash-jihat
malik-e-bahr-o-bar
dekh sakta nahin
puchh sakta nahin
ye hum kaun hain
Nazm
Ye hum kaun hain
Shaheen Mufti