ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
hamein bichhDe to
kitne
din
mahine
sal
guzre hain
magar ye choT
gahri hai
magar ye zaKHm
taze hain
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
agar main sath
do panchhi bhi baiThe dekhta hun to
mere mazi ka har manzar
meri aankhon ke Doron mein
ubharta hai
taDapta hai
meri aankhon ki putli Dub jati hai
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
wo sare log
jin ki wajh se
hum log bichhDe the
mukammal zindagi kar ke
wo sab qabr mein soe hain
tumhaara dukh mere sine mein lekin
ab bhi zinda hai
jawan hota hi jata hai
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
ab itni muddaton mein
tum bhi shayad
bhul baiThi ho
mere sab dost rishta-dar
lakhon mil aage hain
safar mein zindagi ke
magar main rah gaya kirdar
tanha
is kahani mein
ye dukh kam kyun nahin hota
meri jaanan
Nazm
Ye dukh kam kyun nahin hota
Siraj Faisal Khan