اردو हिंदी
Ye dimagh | Shaahi Shayari
ye dimagh

Nazm

Ye dimagh

Azra Abbas

;

ye dimagh sota hi rahta hai
maile malgaje kapDon ki gaThri

ek unghta hua kahil wajud
nashshe ki aadat se be-kar

ye dimagh sota hi rahta hai
aham confrencon mein

KHas majlison mein
koi hadsa hone wala ho

ya koi tabdili aane wali ho
kone mein gumDi mare paDa rahta hai

soche hue ek arsa hua
meade mein jalan hoti thi

to chal deta tha khojne ke liye
zyaada hath paun phir bhi nahin marta tha

gumDi mare hue
khojne ke liye sochna

us ke bas se bahar tha
puchhe koi is thake hue se

ye kab bedar hoga
kahil

be-kar
gumDi mare hue

nakara
maile malgaje kapDon ki gaThri

ye dimagh