اردو हिंदी
Yaqin se yaadon ke bare mein kuchh kaha nahin ja sakta | Shaahi Shayari
yaqin se yaadon ke bare mein kuchh kaha nahin ja sakta

Nazm

Yaqin se yaadon ke bare mein kuchh kaha nahin ja sakta

Iftikhar Arif

;

tum ne jo phul mujhe ruKHsat hote waqt diya tha
wo nazm main ne tumhaari yaadon ke sath lifafe mein band kar ke rakh di thi

aaj dinon baad bahut akele main use khol kar dekha hai
phul ki nau pankhuDiyan hain

nazm ke nau misre
yaaden bhi kaisi ajib hoti hain

pahli pankhuDi yaad dilati hai us lamhe ki jab main ne
pahli bar tumhein bhari mahfil mein apni taraf musalsal takte hue dekh liya tha

dusri pankhuDi jab hum pahli bar ek dusre ko kuchh kahe baghair
bas yunhi jaan bujh kar nazar bachate hue ek rahdari se guzar gae the