meri hatheli ke sanp kab tak Dasenge mujh ko
meri hatheli ke sanp jo ab
meri ragon mein utar chuke hain
badan ko zanjir kar chuke hain
main KHwab dekhun to koi aankhon pe hath rakh de
qadam uThaun to koi mere qadam pakDe
palaT ke dekhun to koi pichhe na koi aage
bas ek saya
meri haqiqat ka ek kinaya
meri haqiqat ki mein andhere ki rahnumai mein chal raha hun
azal se ek samri ke sanpon mein pal raha hun
meri hatheli ki jis mein raushan
wo aag bhi hai wo nur bhi hai
jo dast-e-musa hai tur bhi hai
jo is asa ki talash mein hai
jo har tahi-dast ki mata-e-giran-baha hai
jo kushtagan-e-tilism-e-zar ki hayat-e-taza ka moajiza hai
jo ahd-e-hazir ke sahiron
aur un ke paniyon ke waste
zarbat-e-qaza hai

Nazm
Yad-e-baiza
Himayat Ali Shayar