اردو हिंदी
Yaad nahin hai | Shaahi Shayari
yaad nahin hai

Nazm

Yaad nahin hai

Gulnaz Kausar

;

dhire dhire bahne wali
ek saloni sham ajab thi

uljhi suljhi KHamoshi ki
narm tahon mein

silwaT silwaT bhed chhupa tha
sardili maKHmur hawa mein

miTha miTha lams ghula tha
dhire dhire

KHwab ki gili rit pe utre
dard ke manzar pighal rahe the

KHwahish ke gumnam jazire
sahil par phaili KHushbu ke

margholon ko nigal rahe the
dhire dhire

jaane kaun se mausam ke
do phul khile the

shahad bhari sargoshi sun kar
jhuke jhuke se

honT hanse the
baDhne laga tha ek anokha

san san karta
be-kal naghma

yaad nahin hai
kahan gire the

meri baali
us ka chashma