main kaise bataun
wo arsa jo duri mein guzra
huzuri mein guzra
main us ki wazahat nahin kar sakunga
sar-e-sham hi
koi la-shakl kut
mujhe apne narghe mein rakhti
maza leti mere namak ka
kabhi meri shirini chkhti
kabhi mujh ko qatre
kabhi mujh ko zarre mein tabdil karti
kabhi mujh ko haiat mein lati
kabhi meri haiat ko tahlil karti
adhura samajhti
kabhi mujh ko pura samajhti
usi gomago mein mujhe toD deti
meri TukDiyon ko milati
mujhe joD deti
main kaise bataun
ki jo kaifiyat mujh pe guzri
asatiri hargiz nahin thi
kisi dew-mala se
sa ga se
ja tak kahani se
us ka ilaqa nahin tha
kisi KHwab ka ye waqua nahin tha
na ye wahima tha
jise aql tashkil deti hai
hairat ka warta
hisar-e-nafas ya nazar ka karishma
koi warida
pas anfas tanwim ya mismirism
koi habs-e-dam
jazb-o-masti
kisi sant-sadhu ki shakti
kisi sufi salik ka ilham
sarsam
wahshat ki lai
wajd ya haal si koi shai
ek shishe ke andar koi chiz
burraq parde pe raqsan si
fanus-e-gardan si
taswiri hargiz nahin thi
asatiri hargiz nahin thi
main kaise bataun
ki jo kaifiyat mujh pe guzri
main us kaifiyat mein dobara
kisi taur shirkat nahin kar sakunga
wo arsa jo duri mein guzra
huzuri mein guzra
main us ki wazahat nahin kar sakunga
Nazm
Wo arsa jo duri mein guzra
Rafiq Sandelvi