jab kisi timtimate hue jism ka sarsaraata hua pairahan
ras bhare santare ke chamakdar chhilke ki manind utarne lagega
dhundalke mein soe hue narm bistar ki ninden
kisi sondhi KHushbu ki jhankar se jab uchaT jaengi
aur uljhi hui garm sanson ki maujon pe main
be-sahaara bhaTakti hui naw ki tarah bahne lagunga
yaqin hai mujhe
tum hawaon ki poshak pahne hue
band kamre ki jannat mein dar aaogi
ajnabi muskuraate hue jism ke ek ek naqsh mein
aap hi aap Dhal jaogi
dur ufuq ke qarin
do parinde fazaon mein aahista aahista tahlil ho jaenge
Nazm
Visal
Bashar Nawaz