ye watan teri meri nasl ki jagir nahin
sainkaDon naslon ki mehnat ne sanwara hai ise
kitne zehnon ka lahu kitni nigahon ka araq
kitne chehron ki haya kitni jabinon ki shafaq
KHak ki nazr hui tab ye nazare bikhre
pattharon se ye tarashe hue asnam-e-jawan
ye sadaon ke KHam-o-pech ye rangon ki zaban
chimniyon se ye nikalta hua pur-pech dhuan
teri taKHliq nahin hai meri taKHliq nahin
hum agar zid bhi karen us pe to tasdiq nahin
ilm suli pe chaDha tab kahin taKHmina bana
zahr sadiyon ne piya tab kahin naushina bana
sainkaDon panw kaTe tab kahin ek zina bana
tere qadmon ke tale ya mere qadmon ke tale
nau-e-insan ke shab-o-roz ki taqdir nahin
ye watan teri meri nasl ki jagir nahin
sainkaDon naslon ki mehnat ne sanwara hai ise
tera gham kuchh bhi sahi mera alam kuchh bhi sahi
ahl-e-sarwat ki siyasat ka sitam kuchh bhi sahi
kal ki naslen bhi koi chiz hain hum kuchh bhi sahi
un ka wirsa hun khanDar ye sitam ijad na kar
teri taKHliq nahin tu ise barbaad na kar
jis se dahqan ko rozi nahin milne pati
main na dunga tujhe wo khet jalane ka sabaq
fasl baqi hai to taqsim badal sakti hai
fasl ki KHak se kya mangega jamhur ka haq
pal salamat hai to tu par utar sakta hai
chahe tabligh baghawat ke liye hi utre
warna 'ghaalib' ki zaban mein mere hamdam mere dost
dam har mauj mein hai halqa-e-sad-kaam-e-nahang
soch le phir koi tamir girane jaana
teri tamir se hai jang ki taKHrib se jang
ahal-e-mansab hain ghalat-kar to un ke mansab
teri taid se Dhaale gae to mujrim hai
meri taid se Dhaale gae main mujrim hun
paTriyan rail ki saDkon ki basen phone ke tar
teri aur meri KHataon ki saza kyun bugten
un pe kyun zulm ho jin ki koi taqsir nahin
ye watan teri meri nasl ki jagir nahin
sainkaDon naslon ki mehnat ne sanwara hai ise
tera shikwa bhi baja meri shikayat bhi durust
rang-e-mahaul badalne ki zarurat bhi durust
kaun kahta hai ki haalat pe tanqid na kar
hukmaranon ke ghalat dawon ki tardid na kar
tujh ko izhaar-e-KHayalat ka haq hasil hai
aur ye haq koi tariKH ki KHairaat nahin
tere aur mere rafiqon ne lahu de de kar
zulm ki KHak mein is haq ka shajar boya tha
salha-sal mein jo barg-o-samar laya hai
apna haq mang magar un ke taawun se na mang
jo tere haq ka tasawwur hi fana kar Dalen
hath uTha apne magar un ke jilau mein na uTha
jo tere hath tere tan se juda kar Dalen
KHwab-e-azadi insan ki ye tabir nahin
ye watan teri meri nasl ki jagir nahin
sainkaDon naslon ki mehnat ne sanwara hai use
Nazm
Wirsa
Sahir Ludhianvi