mere andar
ghana jangal
ghane anjaan jangal mein
lachak shaKHon ki wahshat mein
shajar ke patte patte par
munaqqash an-ginat sadiyan
zamanon ke badan uryan
azal ki zad, abad ki had
khanDar, minar aur gumbad
rawan la-samt tahziben
nae imkan ki sansen,
kabhi apni girafton mein
girafton se kabhi bahar
lahu, aafaq, ek dariya
badan lamhat ka sahra
jahan duniya bhaTakti thi
wo sab KHamosh aur tanha
isi sahra ke sannaTe ko naghmon se bhigona hai
kahin dur ja kar
KHud ko KHud hi mein Dubona hai
kisi din apne jangal se lipaT ke khul ke rona hai
Nazm
Viran KHwahish
Riyaz Latif