pahna ke zanjir-e-abi bana tab ki
ab bhi jakDe rakha hai mujhe paniyon ne
nafas mera pani meri ruh pani
mere aks ki lahar-dar-lahr sathon mein sayyal patwar khole hain dar aur darichon ki tariKH ke
murtaish murtaish apni phaili ragon ki farawaniyon mein
bahata hun main naghma-zan kashtiyon ke charagh
aasmanon ka aaina sar pe liye
phaDphaDate kabutar ki das lakh hairat bhari surKH aankhon mein chakra ke girte hue
sab kalisa mahal aur qandaq ke sabz aur aaluda mehrab o gumbad pani
ayan mere sine ki sayyal pahnaiyon mein
sehn-ta-sehn faKHtaon ke shahpar
tamaddun ke tewar
hawa ke sutun-dar-sutun sare sayyah paikar
ghule hain zamanon se pani ki galiyon mein tajir jahazon ke zarKHez phere
magar sari aaraishon mein sama kar
sarabon ki maujon ke ghaibi thapeDon ne pal pal nikhaara hai bosida chehre ko mere
to apne hi nam aur KHwabida sayon se afsane kahte hue ab
musalsal rawani ke kandhon pe rahte hue ab
taghayyur ka tufan uThaun to kya ho
teri aankh mein Dub jaun to kya ho

Nazm
Wenus
Riyaz Latif