dur takzib ka farhad hun meri KHatir
haq ki aawaz sadaqat ki aur shirin hai
mera mansab hai husul-e-shirin
wasl-e-shirin ke liye tesha uThata hun main
tesha-e-azm-o-yaqin jo abhi kund nahin
sina-e-sang abhi KHushk nahin
har rag sang mein ek jue rawan pinhan hai
main ki farhad hun rag rag mein meri
shoala-e-qatra-e-KHun jaulan hai
meri gardan pe hai sarbar amanat ki tarah
mere hi teshe se kaT sakta hai lekin ye kabhi
jhuk to sakta hi nahin
juT gae hath uThe aur bane ek kaman
TuT sakti nahin hathon ki kaman
chhuT sakta nahin tesha mera
is ki har zarb-e-jawan se jab tak
reza reza nahin ho
zulm-o-takzib ka ye koh-e-giran

Nazm
Wasl-e-shirin ke liye
Zaheer Siddiqui