jawan raaton mein kala dasht
qalib mein utarta hai
ki mere jism o jaan ke margh-zaron ki mahak
hawa ke dosh par raqs karti hai
pyasi ret sahraon ki dhansti hai
rag o pai mein
udhaDte hain masamon se
lahu-zaron ke chashme
barf kohsar ke sare parinde
git gate hain
habab uThta hai
gahre nil-gun zinda samundar ka
himala sans mein Dhal kar
glacier sa pighalta hai
jawan raaten
regzaron ki pyasi ret
samundar ka habab
barf kohsar ke sare parinde
himala aur glacier
jawan raaton mein
meri kaenaton mein
nae sayyare aur taza jahan daryaft karte hain
ki mujh par lafz barish se utarte hain
Nazm
Warud
Khalid Karrar