andhe waqt ke
gahre kuen mein
mazi ki har yaad chhupi hai
kuchh lamhon ki kirnen
zard sunahri-anchal mein lipTi hain
kuchh pal aise bhi hain
jin ke aaine mein
dukh ke anmiT-aks
ubhar kar
aankhon ke girdab mein raqsan
lauh-e-dil par
naqsh hue hain
dhup aur chhanw ke is khel ko
haal ka har pal dekh raha hai
dukh ke bhaari bojhal patthar
sukh ki narm sunahri kirnon ko
mizan mein rakh kar
taul raha hai
mustaqbil
ek dhund ki chadar mein lipTe
durwesh ki surat
waqt ke is tarik kuen se
jhankte mazi
haal ke ek ek naqsh ka partaw
dekh raha hai
soch raha hai
Nazm
Waqt
Parveen Fana Syed