waqt ki piTh par
kachche lamhon ke dhagon mein lipTa hua
shahr ki siDhiyon par sarakta hua
nit nae
KHud-kushi ke tariqon ka mujid bana
habshi raaton ke jangal mein bikhri hui
lams ki haDDiyan
chun raha hun na jaane main kis ke liye
jab mere nam ke lafz tanha the logo
tumhein surKH honTon ki KHairaat
kaise mili ye batao
refrigerator mein rakkhi hui tashtari mein
meri donon aankhen barahna paDi thin
wahan tak kisi KHwab ke hath pahunche nahin
kabutar ki aankhon mein
TuTe hue aasmanon ka tanazzul na dekho
badan ke shikasta khanDar se nikal bhagne ke liye phir
tumhaari madad ki zarurat hai mujh ko
Nazm
Waqt ki piTh par
Adil Mansuri