suno tumhaara jurm tumhaari kamzori hai
apne jurm pe
rang-birange lafzon ki be-jaan ridaen mat Dalo
suno tumhaare KHwab tumhaara jurm nahin hain
tum KHwabon ki tabir se Dar kar
lafzon ki tarik gupha mein chhup rahne ke mujrim ho
tum ne hawaon ke zine par
panw rakh kar
qaus-e-quzah ke rang sameTe
aur KHalaon mein uDte
farzi taron sayyaron ki baaten kin
tum mujrim ho us nannhi konpal ke jis ne
subh ki pahli shoKH kiran se sargoshi ki
tum mujrim ho us aangan ke jis mein shayad
ab bhi tumhaare bachpan ki masum shararat zinda hai
tum mujrim ho tum ne apne panw se lipTi miTTi ko
ek izafi chiz samajh kar jhaD diya
Nazm
Waqt ke kaTahre mein
Bashar Nawaz