waqt sab se baDa kahani-kar
jo azal se har chehre par
aafaqi kahaniyan likh kar
chehron ko lamha-ba-lamha dastan karne mein masruf
ek kahani ki takmil ke liye
an-ginat kirdar aasman se utarte hain
siyah o safed saaton ki barish mein bhigte kore chehron par
waqt saza jaza ki aisi la-zawal kahaniyan tahrir karta hai
ki kitne hi chehre kaenat ke ibrat-kade mein
aawezan hote hain
aur kitne hi raushniyon ke istiare bante hain
waqt ke pas
aasman se utarti kahaniyon ke
an-ginat Dher lage paDe hain
jinhen likh kar use
chehron ki kitni hi adhuri kitaben mukammal karni hain
Nazm
Waqt ek kahani-kar
Muneer Ahmad Firdaus