ai dakan ki sar-zamin ai qibla-e-hindostan
tere zarre mehr hain teri zamin hai aasman
azmat-e-mazi ka dil-afroz nazzara hai tu
mashriq-e-tahzib ka pakiza gahwara hai to
tere har pahlu mein hain ehsas ki bedariyan
tere har manzar mein hain jazbaat ki sarshaariyan
hai KHizan na-ashna tere gulistan ki bahaar
tujh pe hai saya-fagan daman-e-lutf-e-kirdgar
tere dariya-e-karam ka josh gauhar-bez hai
teri zar-afshan zamin ka faiz-e-mardum-KHez hai
jo jawahar tu ne chamkae hain apni KHak se
un ka sina bhar diya hai jalwa-e-idrak se
wo 'wali' tera hi ek farzand hai KHak-e-watan
jis ki azmat ne kiya dehli mein aaghaz-e-suKHan
ruh mein jis ne bhari urdu ke be-jaan jam mein
kaif-e-ehsas-e-amal hai jis ke har paigham mein
ek hayat-e-nau ata ki jis ne maujudat ko
jis ne di ek ruh-e-taza qalb-e-ehsasat ko
us faza-e-ab-o-gil ko nur jis ne kar diya
zarre zarre ko jo ab tur jis ne kar diya
soz ki ranginiyan barsaen jis ne saz se
jagmaga uTThe sitare jis ki har parwaz se
jis ki fayyazi se har qatra samundar ho gaya
jis ke naqsh-e-pa se har zarra munawwar ho gaya
jo nahin hum mein magar hum yaad karte hain jise
dil ke sherisitan mein aabaad karne lun jise
muKHlisana yaad mein jis ki hai apna nam bhi
yaad-e-mazi mein hai mustaqbil ka ek paigham bhi
Nazm
Wali
Maikash Akbarabadi