wafa aur ishq ke rishte baDe KHush-rang hote hain
adaen dil-kusha in ki rasile Dhang hote hain
kisi mausam kisi rut mein kisi bhi shaKH par aksar
ye nannhi konplen ban kar chaman aabaad karte hain
sakun dete hain zehnon ko dilon ko shad karte hain
KHuda jaane ye parwane ye mastane ye diwane
murawwat ki mohabbat ki ibaadat ki bulandi se
kise aawaz dete hain kise rah rah ke takte hain
ye na-umid ho kar bhi kabhi munkir nahin hote
ye kis ki justuju mein past hote hain na thakte hain
ye rah rah kar dur bhi ek dusre ke sang hote hain
wafa aur ishq ke rishte baDe KHush-rang hote hain
Nazm
Wafa aur ishq ke rishte baDe KHush-rang hote hain
Aazim Kohli