اردو हिंदी
Wapsi | Shaahi Shayari
wapsi

Nazm

Wapsi

Nahid Qasmi

;

maslahat ek saheli meri
us ne tumhaari soch pe pabandi aaed ki thi

main ne us ka dil rakhne ko hami bhar li thi
lekin mujhe akela pa kar

kal ek nanha-munna bhed bhara lamha
kilkari bharta aaya

us ne jis ki ungli tham rakhi thi
wo to tum the

aankhon mein shamen utri thin
ghani ghani palkon ke pichhe ek naranji shikwa Dub raha tha

kya main ek pal ko bhi soche jaane laeq nahin raha hun
chup ki lambi yaKH-diwaron ko chhukar

tum lauT gae ho
lekin apna chanchal sathi pichhe chhoD gae ho

aur wo mere chaar-su phere khel khel kar
mera aanchal thame thame jaane kya kya puchh puchh kar thak hi gaya hai

mere kandhe lag kar KHwabon ke jhule mein jhul raha hai
us ke jagne se pahle

tum us ko lene aa jao