wo chaalis raaton se soya na tha
wo KHwabon ko unTon pe lade hue
raat ke regzaron mein chalta raha
chandni ki chitaon mein jalta raha
mez par
kanch ke ek pyale mein rakkhe hue
dant hanste rahe
kali ainak ke shishon ke pichhe se phir
motiye ki kali sar uThane lagi
aankh mein tirgi muskurane lagi
ruh ka hath
chhalni hua sui ki nok se
KHwahishon ke diye
jism mein bujh gae
sabz pani ki sayyal parchhaiyan
lamha lamha band mein utarne lagin
ghar ki chhat mein jaDe
das sitaron ke sayon tale
aks dhundla gae
aks murjha gae
Nazm
Walid ke intiqal par
Adil Mansuri