sarhaden
kitni purani kirm-KHurda ho chuki hain
jism ko ab kya zarurat rah gai hai
ek hi kamre mein rah kar
wo alag jalte jaziron mein sulagne ki
ye diwaren
jinhen har raat nanga zehn
apni khurduri aankhon se zaKHmi kar raha hai
ek din phirega shayad tum bhi ab mahsus karne hi lage ho
Nazm
Usul ke jazire
Wahab Danish