is se kah do ki wo apne dikhte hue bazuon ko yunhi tah rakhe
rahdari ke parle sire par wo kis se milegi
koi KHwab raaton ki bojhal hawa mein kisi par sameTe parinde ka KHwab
koi KHwab bimar bistar pe bujhte samay
raat ke narm panw guzarne ka KHwab
band kamre mein dopahar bhar sirf ek zer jame mein sone ka KHwab
ya koi aanganon mein utarti hui aankh ki konpalon se ulajhti hui dhup
bhak se uD jaane wali surangon ki manind bichhti hui dhup
munh andhere ye danton tale kirkiraati hui dhup
us se kah do kahin bhi koi KHwab ho dhup ho
nisf-shab apne shauhar ke pahlu se uThti hui
nim-tarik zine se tham tham utarti hui
ek be-ant
lambi masafat pe phaili hui rahdari ke parle sire par wo kis se milegi
us se kah do dariche ke parde gira de
ki khiDki se aati hui raushni gard hi gard hai
magar taq bhi apni nam-KHurdgi mein baDa zahr hai
us se kah do ki wo apne dikhte hue bazuon ko yunhi tah rakhe
Nazm
Us se kah do
Mohammad Anvar Khalid