un logon ke andar jin ke andar mein bhi hun
mere bar-aks aise bhi
hain kuchh log
jin ki baaton ke kuchh sachche rup
un ke harbe hain
lekin ye sach un ka nahin hota
ye sach auron se chhina hua hota hai
apne jhuT aur apni badi ko chhapane ki KHatir
wo auron ki ek ek achchhai ko hathya lete hain
aur phir us hathiyar ko le kar jab wo chalte hain
sari duniya un se Darti hai
ye bhi kaisa zamana hai
jab achchhon ki sab achhaiyan buron ke hathon mein
harbe hain sachche log agar jiwaT hun
kaun un ke munh aaega
jhuT ke us talab ke sab kachhwe
apne apne KHol mein apne apne kale zamiron mein
chhup jaenge
Nazm
Un logon ke andar
Majeed Amjad